Tum Se - Lyrics

Tum se ( From teri baataon mein aisa uljha jiya)
Alag tujhme asar kuch hai
 ke dikhta nahi magar kuch hai
 fidaa hoon main toh
 ek nazar bas
 ek nazar bas
 ek nazar takk ke
lage bhi toh ye aur kidhar abb
aur kidhar dil sangg tere lagg ke
sahi woh bhi lage mujhko
galat tujh mein agar kuch hai
alag tujhme asar kuch hai
 


 
tum se kiran dhoop ki
tum se siyaah raat hai
tum bin main bin baat ka
tum ho tabhi kuch baat hai
 


 
tum se kiran dhoop ki
tum se siyaah raat hai
tum bin main bin baat ka
tum ho tabhi kuch baat hai
 


 
teri yeh sohbat huyi
mujhe naseeb hai jab se
thoda toh behtar khuda kasam
hua hoon main mujhse
hai tu hi tu tasavur mein
hai tu hi tu tasavur mein
 
kahan apni khabar kuch hai
alag tujhme asar kuch hai
 


 
tum se kiran dhoop ki
tum se siyaah raat hai
tum bin main bin baat ka
tum ho tabhi kuch baat hai..


haaa…

karishmein  sach mein hote hai
is baat ki tu misaal hai
sawaalon ka jawaab hai
ya khud  hi tu ek sawaal hai
jitni bhi tareef karu mein  wo kam hai
kasam se tu kamaal hai 
tu kamaal hai 
tu kamaal hai
tu kamaal hai


 

Tum se song details

Singer : Sachin-Jigar, Raghav Chaitanya, Varun Jain
Music: Sachin-Jigar
Lyrics: Indraneel
Music Label: T-Series
Year:2024
Movie:”Teri Baaton Mein Aisa Uljha Jiya”

Tum se official video song